Two step verification kya hai aur kyon important hai?

Hello friends,
Is post mein hum janenge ki 2-step verification kya hai aur ye kyon important hai. Aajkal sabhi badi internet companies as for Google, Facebook, Microsoft etc aur bahut saare apne users ko 2-step verification ki subidha deti hai. Jisase users ko secure rahne mein madad milti hai. Toh friends chaliye jante hai ki 2-step verification kya hai aur yah humare liye kyon aur kaise important hai, so let's begin.

Two step verification kya hai and why is important in hindi.

2-step verification kya hai :
Two step verification users ki security ke liye banaya gaya ek option hai, taki users hack na ho sake. Chaliye ise ek example lekar samajhte hai, maan lijiye aapko facebook ya gmail ko kisi device mein login karna hai, toh aap simple sa apna username aur password dalenge aur login ho jayenge. But agar aapke account mein two step verification activate hai, to aap login nahi ho payenge kyunki username aur password dalne ke baad aapko ek aur code dalna padega jo us account se link mobile number par bheja gaya hoga. Isi prakriya ko 2-step verification kahte hai.

Two step verification kyon important hai :
Friends ab aapke man mein sawal aaya hoga ki 2-step verification kyon important hai aur iske kya fayde hai. Toh friends chaliye ise bhi ek example lekar samajh lete hai, maan lijiye aapke pass ek facebook ka account hai aur uska email aur password kisi bande ko pta hai aur wo banda aapka gmail aur password dalkar facebook mein login kar lega aur aap hack ho jayenge. But agar aapke facebook account mein 2-step verification on rahega to wo banda jisne aapke fb account ko hack kiya hai login nahi kar payega, kyunki gmail aur password dalne ke baad bhi aapke us facebook account se link mobile number par ek 5-6 digits ka code aayega aur aap us code ko dalkar submit karenge tabhi login honge warna login nahi honge. Aur is tarah se aap apne facebook account ko hack hone se bacha sakte hai, kyunki wo jo code aayega wo aapke pass hoga hackers ke pass nahi isliye aapke mobile par koi bhi OTP aaye use dusro ko na bataye.

Conclusion :
Toh friends aapne examples mein dekha ki 2-step verification bahut important hai. Isliye ise apne sabhi bade socials account jaise ki facebook, gmail etc mein activate karke rakhe, jisase aapka account 80% hack hone se bach sakta hai. I hope ki yah article aapko samajh mein aaya hoga, thank you.

Post a Comment

6 Comments

Please always write a positive words in the comment box.