Apne Android Mobile Se YouTube Channel Ka Link Kaise Copy Kare?

Hello friends,
Aaj mai is post mein aapko batane wala hoon ki aap apane YouTube channel ka link kaha se copy kare? Dosto kya hota hai ki hame apne YouTube channel ka link kahi socail media par add karna hota hai as for facebook toh hame apne channel ki link ki zaroorat hoti hai. Toh ji Haa Dosto mai is post yahi batane wala hoon ki aap apane YouTube channel ka link kaha se copy karenge. Toh chaliye suru karte hai step by step


STEP BY STEP :---->>>>>

  1. Sabse pahle apne manpasand browser ko open kijiye. Open karne ke baad browse ko desktop mode mein kar lijiye, desktop mode mein open karne ke liye apne browser ke right corner mein three dots par click kar desktop option par check kar dijiye. Then www.youtube.com type karke search kare, search karne ke baad aapko youtube ka homepage dikhega.
  2. Next aapko homepage ke left corner mein three horizontal lines dikhega us par click kare, click karne ke baad aapke samne bahut sara options aayega usame se aap "my channel" wala option par click kare
  3. My channel wala option par click karte hi aapka channel ka dashboard open ho jayega. Ab aapko  chrome ke search bar mein jo URL dikh raha hai usko copy kar lena hai. Wahi URL aapke channel ka link hoga.
Toh Dosto is tarah se aap apne YouTube channel ka link copy kar sakte hai wo bhi mobile ke madhyam se, toh dosto ummid hai ki yah jankari aapko achchhi lagegi.

Post a Comment

5 Comments

Please always write a positive words in the comment box.