Apne blog or facebook page ka QR code kaise banaye?

Hello friends,
Aaj ki is post mein hum janenge ki aap apne khud ka blog or website ke url ya facebook page ke url ka QR code free mein kaise create kar sakte hai. Toh chaliye step by step jante hai.

How to make qr code

Step : 1
Sabse pahle aap apne mobile ka koi bhi browser open kare aur search bar mein qr code generator type karke search kare. Search karne ke baad bahut sara results aa jayega, usme se aapko QR code monkey wale website par visit karna hai. Yah bahut hi achchha qr code generator website hai.

Step : 2
Website mein visit karne ke baad aap jis chij ke url ka QR code banana chahte hai uska url your url wala option mein paste kar dijiye. Uske baad aapko ye karna hai jaise ki
  • Set color :- isame aap apne qr code ka color choose kar sakte hai.
  • Add logo image :- isame aap apna url ka logo upload kar sakte hai, wo logo qr code mein show hoga.
  • Costmise design :- isame aap apne qr code ka safe choose kar sakte hai jaise ki gol, square etc

Step : 3
Ab aapko create qr code wale button par click karna hai. Uske baad aap apne qr code ka png download kar sakte hai. Step 2 aur 3 ka screenshot niche dikhaya gaya hai

How to make qr code?

Toh friends aap is tarah se free mein apne blog ya facebook page ya kisi bhi url ka QR code free mein generate kar sakte hai. I hope ki samajh mein aaya hoga, thank you.

Post a Comment

0 Comments