YouTube App Ko Background mein Kaise Use kare?

Hello friends,
Kaise hai, ummid hai ki better honge. Friends aaj mai is post mein aapko batane wala hoon ki aap bina kisi application ki madad se YouTube ko background mein kaise use kar sakte hai. To friends is post ko last tak pure dhyan se read kare aur is tricks ka maza le.

YouTube app ko background mein kaise use kare?

Friends mai aapko bata du ki users ke liye YouTube app ki sabase badi problem yah hai ki ise background mein chalane ka features nahi diya gaya hai. Agar isame gana sunna hai to mobile mein aap dusra kaam nahi kar sakte hai. Jaise hi kuchh aur open karenge ya screen lock hoga YouTube bhi close ho jayega. But ab paresaan hone ki jarurat nahi hai, kyonki aaj mai aapko ek aisa tarika bataunga jiska use karke aap YouTube ko apne mobile ke background par chala sakte hai. To friends der kis baat ki chaliye suru karte hai, step by step aur jante hai ki YouTube aap ko apne mobile ke background par kaise chalate hai.

YouTube app ko background mein kaise use kare?

Step 1.
Sabase pahle apne chrome browser mein jaye aur search bar mein www.youtube.com type karke search kare.

Step 2
Search karne ke baad youtube ka homepage open hoga, then apne browser ko desktop mode mein open kar lijiye.

Step 3
Ab aapko jo bhi vedioes dekhna hai use search kare aur play kar de.

Step 4
Play karne ke baad agar aap us vedio ko apne mobile ke background par sunna chahte hai to apne mobile ka home button press kare aur apne mobile ke background par aa jaye, aane ke baad kewal vedio ka audio bajega aur aap song sunte huye apne mobile par dusra kaam bhi kar sakte hai.

To friends is tarah se aap apne YouTube app ko background mein chala sakte hai. Ummid hai, ki yah jankari aapko achchhi lagegi. Agar phir bhi is post se related aapke man mein koi sawal ya sujhav hai, to aap hamse niche comment box mein zarur puchh sakte hai.

Post a Comment

0 Comments