Email ID Secure Rakhne Ke Liye Kya Kare?

Hello friends,
Welcome to on this blog "Classic Advice".
Friends aaj ka mera post hai ki aap apane email ko kaise secure rakh sakte hai. Friends email par kai tarah ki jaruri jaankari hoti hai,personal photos hote hai,chat hoti hai. Isliye better hoga ki aap ek strong password banaye,jiska anuman koi na laga paye. Aamtaur par apna naam ya mobile number ko password rakhte hai. Apane is habit ko change kare.


Friends mai aapako bata du ki har saal 100 kamjor password ki list jaari hoti hai, jiname ek number par 123456789 password hota hai. Isase anuman lagaya ja sakta hai ki hackers ko inake account hack karna kitna aasan hai. Google samet sabhi email services logon ko advise deti hai ki apane password mein special characters aur koi number jarur use kare. Halanki adhiktar log ise gambhirta se nahi lete hai. But kai baar password strong hone ke bawujud Id hack ho jata hai. So in tips ko care kare.


Id secure rakhne ke liye ye step follow kare.

Recovery detail :- email account mein apna sahi mobile number aur dusari email address draj karke rakhe, jiska aap use kar rahe hai. Ye dono aapka account hack hone par recovery mein madad karenge. Isake aalawa security answer aisa de jo aapko remember rahe.

Log in karte rahe :- kyonki kai baar is baat ki khabar bhi nahi hoti, aur aapka email address dusara person use karta hai. Agar aap lagatar apna email check nahi karenge to aapko is baat ka pata bhi nahi chal payega

SMS alert ON rakhe :- email ID ki security settings mein sms alert ko on rakhe taki jaise hi koi aapki email ID kholane ki koshish kare, aapke pass turant massage aa jaye.

Secure password rakhe :- apane password mein ek upper case, ek lower case, ek special characters aur ek numeric jarur rakhe. Isase aapka password strong hoga. Aur koi hack nahi karega.

Two step verification :- Gmail sahit lagbhag sabhi badi email services security ke liye "Two step verification" ka option deti hai. Ise aap enable kar le. Isake liye security settings mein jaakar apna mobile number draj kare aur submit kar de. Isase har baar login karne ke liye aapke mobile par verification code bheji jayegi, jisake jariye email login hoga.

Faltu mail attachment na khole :- Hackers attachment ke jariye mailware bhejate hai. Aap jaise hi attachment kholate hai, aapke pc ya mobile mein kuchh mailware jagah bana lete hai. Phir dhire-dhire ye aapke behaviour ko padhkar aapki login details apne aaka yani ki hackers ko bhejate hai.

Public Wi-Fi use nahi kare :- Koi aapko bilkul free Wi-Fi de aise mumkin nahi, isliye kuchh paise dekar deta pack recharge karaye. Public Wi-Fi ke jariye hackers packet tresser se aapke baare mein information nikaal lete hai. Aage se kisi agal-bagal ka wi-fi use karne se bhi bache. Kya pata wah aapke password janane ke liye free Wi-Fi de raha ho.

To Dosto aap in sabhi steps ko follow karke apne email ko secure rakh sakte hai. Agar yah post aapko pasand aayi to jyada-se-jyada share kare, kyonki logon ko pata chale ki in chhoti-chhoti galti se hamari email ID hack ho sakti hai, aur personal information likh ho sakti hai. Agar aapke man mein is post se related koi questions ya doubts hai to aap hamse comment box mein puchh sakte hai.

Post a Comment

0 Comments